How To Transfer Money Offline – Send Money By Mobile In Hindi

How to transfer money offline | Hello friends aj hum is post me offline money transfer kaise kare ke bare me janenge. Agar aap apne mobile se offline money transfer kaise kare ke bare me janna chahte hai to aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko bataunga ki kaise hum apne sadharan phone ka use kar bina internet ke paise kaise transfer karte hai.

how to transfer money offline

Waise to aj ke samay me online money transfer karne ke bahut sare UPI based apps hai jinki madad se aap online money transfer kar sakte hai. But uske liye aapke paas ek smartphone or internet connection hona jaruri hai. Lekin kai bar aesa hota hai ki hum koi aesi jagah hote hai jaha internet nahi hota ya fir kai logo ke paas smartphone nahi hota to aese me agar aapko apne friends, family ya kisi other ko paise send karne hai to kaise kare? So don’t worry yaha is post me mai aapko ek aese tarike ke bare me bataunga jiski madad se aap apne sadharan phone se hi bina internet ke kisi ko bhi kahi se instant money transfer kar sakenge.

Is post me bataye steps ko follow kar aap easily bina internet ke instant money transfer kar sakte hai.

Offline Paise Transfer Karne Ke Liye Kin Kin Chijo Ki Jarurt Hoti Hai

Offline paise transfer karne ke liye aapko kuch bato ka dhyan rakhna jaruri hai.

  1. Offline paise bhejne ka process message se hota hai so aap jis bhi mobile number se message send karenge wo number aapke bank me registered hona chahiye. or sath hi jise aap money transfer karenge uska mobile number bhi uske bank account se link hona chahiye.
  2. Jaisa ki mene upar bataya ki ye process message ke through hota hai, So jaruri hai ki aapke mobile me paise hone chahiye, Isme per message 50 paise charge lagta hai.
  3. Aapke paas or aap jise paise transfer karna chahte hai dono ke paas UPI PIN hona jaruri hai. Agar aapke paas UPI PIN nahi hai to don’t worry aage is post me bataye steps ko follow kar aap easily UPI PIN bana sakte hai.

UPI PIN Kya Hai? (What is UPI PIN)

UPI ka pura name hai UNIFIED PAYMENT INTERFACE. Agar aap Bhim ya Google Pay jaise UPI based app use karte honge to aapko UPI PIN ke bare me pata hoga. UPI PIN 6 digit ka hota hai jiski madad se hum kahi pe bhi kisi bhi samay paiso ka len den kar sakte hai. Jaise ki agar aapko kisi ko paise transfer karne ho ya online payment karni ho to aap is UPI PIN ki madad se easily kar sakte hai.

UPI PIN Kaise Generate Kare? (How to Generate UPI PIN)

UPI PIN generate karne ke liye aapke paas ATM card hona jaruri hai.

Step 1: Aap apne mobile se *99# dial kar ok kar dijiye.

Step 2: Ab agar aap pahli bar is process ko kar rahe hai to aapse language select karne ko bola jayega aap apne according language select kar lijiye.

Step 3: Ab aapke samne kuch options show honge yaha aapko UPI PIN generate karna hai to aap last wale UPI PIN 7 number ko type kar Send ke button par click kar dijiye.

UPI pin se paise kaise bheje 2019

Step 4: Ab aapko 2 option milenge ek Set UPI PIN or dusra Change UPI PIN isme aap new UPI set kar rahe hai so aap 1 type kar Send ke button par click kar dijiye.

Step 5: Ab aapko ek message milega jisme aapko apne Debit card ki last ki 6 digit aur card ki expire date type kar send karna hai. Debit card ke last 6 digit dalne ke baad aapko ek space dekar card ki expiry date dalni hai. Example 123456 0418

Stp 6: Ab ek or message milega jisme aapko 6 digit ka ek number type karna hai number aesa type kare jise aap asani se yaad rakh sake ye wohi UPI PIN hoga jiske through aap transaction ya payment kar payenge.

Step 7: Ab aapko ek message ayega jisme aapko bataya jayega ki aapka UPI PIN successfully generate ho gaya hai.

Iske alawa aap BHIM ya koi or UPI based app ki madad se bhi UPI PIN set kar sakte hai.

How to Transfer Money Offline

Step 1: Sabse pahle aap apne mobile se *99# type kar ok kar dijiye.

Step 2: Ab yaha par aapke samne kai option show honge, Yaha aap money send karna chahte hai isliye aap 1 type kar Send ke button par click kar dijiye.

Step 3: Ab aapke samne kuch option ayenge isme aap jis bhi method se paise send karna chahte hai use select kar lijiye yaha mai mobile number se send kar raha hun isliye mai first wale mobile no ko select kar raha hun.

*99# ka use kar paise kaise bheje

Step 4: Ab aapko us person ka mobile number dalna hai jise aap money transfer karna chahte hai. Or is bat ka dhyan rakhe ki wo mobile number unke bank account se link hona chahiye.

Step 5: Ab aapko us person ka name show hoga uske baad aap jitna paise use send karna chahte hai wo amount type kar send par click kar dijiye.

Step 6: Ab agar aap kuch message likhna chhate hai to likh kar send kar dijiye nahi to 1 type kar skip kar dijiye.

Step 7: Ab aapko us person jise aap money send kar rahe hai uska mobile number or amount dikhayi dega or uske niche aapse UPI PIN enter karne ko bolega aap apna UPI PIN type kar send ke button par click kar dijiye.

how-to-send-money-without-internet-2019

Step 8: Ab aapko successfully Money send ka message show hoga. Ab aap 2 type kar process ko complete kar sakte hai.

Is prakar aap aapne sadharan phone ka use kar bina internet ke kahi se bhi kisi ko instant money transfer kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye post how to transfer money offline achi lagi hogi. Agar aapko is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment