How To Send Large Files Online In Hindi – Best File Sharing Sites

How to send large files online | Hello friends aj hum is post me online large files kaise transfer kare ke bare me janenge. Agar aap badi files jaise ki Movies, Videos, Software etc. ko online kaise transfer kare ke bare me janna chahte hai to aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko Best File sharing sites ke bare me bataunga.

how to send large files in hindi 2019

Normally agar hume koi file online kisi ko transfer karni hoti hai to hum Email se file attachment kar ke send kar dete hai or email se file ko send karna bahut hi asan hai. But problem yaha aati hai ki email se hum per message 25 MB tak ki hi file ko transfer kar sakte hai usse badi file ko hum email ke through send nahi kar sakte hai, Aese me agar hume 25 MB se jyada ki file ko online transfer karna ho to kya karenge? So don’t worry yaha is post me mai aapko 2 aesi best file sharing sites ke bare me bataunga jiski madad se aap ek samay me(per massage) 30 GB tak ki file ko online transfer kar sakte hai.

In sites ki sabse achi bat ye hai ki aapko in sites se files ko transfer karne ke liye register karne ki bhi jarurat nahi padegi. Or na hi inko use karne ke liye aapko koi charge pay karna hoga yaha sites bilkul free hai. Aur in site me aapki file bhi puri tarah secure rahti hai.

How To Send Large Files Online 2019

In websites se file ko transfer karna bahut hi asan hai or sabhi sites me file transfer karne ka process bhi ek jaisa hi hai. Aap niche bataye steps ko follow kar easily online large files ko transfer kar sakenge.

1. Firefox Send

Yah ek bahut hi badhiya site hai ise Mozilla ne launch kiya hai. Isme aap bahut hi easy tarike se apni files ko online send kar sakte hai. Isme aap 2.5GB tak ki files ko online send kar sakte hai.

Firefox send Se Files Kaise Send Kare?(How to send files through Firefox send)

Step 1: Sabse pahle aap firefoxsend ki website ko open kar lijiye. Ab agar aap is site me sign in karte hai to aap 2.5GB tak ki files send kar sakte hai or bina sign in kiye aap 1GB tak ki files send kar sakte hai.

Step 2: Ab yaha se Select files to upload ke button par click kar aap jis bhi file ko send karna chahte hai use apne pc se select kar lijiye.

  1. Ab yaha se aap us file ki expire set kar sakte hai ki kitne download ke baad wo file expire ho jaye mtlb ki agar aap chahte hai ki 2 baar us files ko download karne ke baad wo files expire ho jaye to aap yaha se 2 download ke option ko select kar le isme aapko 100 download tak ka option milta hai.
  2. Yaha se aap set kar sakte hai ki kitne samay tak wo link valid rahe us time ko aap yaha se select kar sakte hai.
  3. Yaha se aap us files ko protect karne ke liye password set kar sakte hai. mtlb ki aapne jise files send ki hai use jab tak aap password nahi batange wo file download nahi hogi.
  4. Fir last me Upload ke button par click kar dijiye.

how to used firefox send file in hindiStep 3: File upload hone ke baad aapko ek link milega us link ko copy kar aap jise file send karna chahte hai use send kar dijiye uske baad wo us link par click kar us file ko download kar payega.what is firefox send file

2. WeTransfer

Wetransfer online files send karne ke liye best file sharing sites me se ek hai. Wetranfer se file ko online send karna bahut hi asan hai. Is site se aap ek samay me 2 GB tak ki file ko send kar sakte hai.

Wetransfer Se File Kaise Send Kare?(How to send large files through Wetransfer)

Step 1: Wetranfer se online file transfer karne ke liye sabse pahle aap wetransfer.com ki site ko open kar lijiye. Uske baad aapse inki Terms of service ko accept karne ke liye bola jayega uske liye aap I agree ke button par click kar dijiye.

Step 2: Ab is page me aapko jo files send karni hai use upload kar apna email id or jisko send karna hai uska email id dalkar transfer kar dena hai.

  1. Add your files : Yaha aap us file ko upload kar lijiye jise aap transfer karna chahte hai.
  2. Email to : Yaha par aapko us person ka email id dalna hai jise aap file transfer karna chahte hai. Yaha par aap ek sath 3 logo ko file transfer kar sakte hai. Agar aap ek se jyada logo ko ek sath file send karna chahte hai to ek email id dalne ke baad ,(comma) laga de fir dusra email id daal dijiye.
  3. Your Email: Yaha par aap apna email address dal dijiye.
  4. Message : Agar ap koi message likhana chahate hai jaise ki send ki jane wali file kis topic se related hai, ya koi bhi personal message etc. to aap yaha par message likh sakte hai.
  5. Sabhi details dalne ke baad Transfer ke button par click kar dijiye. Aapke file ka size or aapke internet ki speed ke according file send hone me time lagata hai.

How to send large files online 20193. Filemail

Filemail bhi online file share karne ke liye bahut hi badhiya website hai. Filemail se file ko online transfer karna bhi bahut hi asan hai, or is site me aapko file transfer karne ke liye file ki size bhi bahut adhik milti hai. Or yaha bhi bilkul free hai or isme bhi aapko register karne ki jarurat nahi padati hai. Is site se aap ek samay me 30 GB tak ki file transfer kar sakte hai.

Filemail Se Files Kaise Transfer Kare?(How to transfer large files through Filemail)

Filemail se online file transfer karne ka process bhi same Wetransfer ki hi tarh hai.

Step 1: Filemail se online file transfer karne ke liye sabse pahle aap filemail.com ki website ko open kar lijiye.

Step 2: Ab aapke samne filemail ka homepage open ho jayega jisme ek form hoga yaha par aapko file send karne ke liye kuch details dalni hai jaise ki :

  1. To (email) : Yaha aap us person ka email id enter kare jise aap file send karna chahte hai.
  2. From(email): Yaha par aap apna email id type kare.
  3. Subject : Yah optional hai chahe to aap ise khaali chhod sakte ho. But subject likhane ka ye phayada hai ki aap jise file send kar rahe ho wo subject dekhkar samajh jayega ki ye file kis topic se related hai.
  4. Message : Yaha aap koi message type kar sakte hai.
  5. Add Files : Is button par click kar aap apne computer se us file (music, video, software, movies) ko select kare jise aap transfer karna chahte hai.
  6. Add Folder : Filemail me apko wetransfer se ek extra feature milta hai jiski madad se aap direct folder ko bhi select kar ke transfer kar sakte hai. Example – Agar aapko kisi ko ek se jyada files, videos, movies transfer karni hai to aap un sabhi files ko ek hi folder me rakh kar aap direct us folder ko transfer kar sakte hai.
  7. Sabhi details dalne ke baad Send ke button par click kar dijiye.

Best way to send large files online 2019

Jaise hi aap send ke button par click kar denge to aapke samne ke popup open hoga jisme aapko kuch option milenge.

  1. Isame first option hai Files will be available iska matlab yaha hai ki aapke dwara send ki gayi file ko kitne din tak online rakhna chahte hai.
  2. Isame dusra option hai Notify me when files are downloaded ise aap check mark kar dijiye isase ye phayda hoga ki apne jise file send ki thi agar usne us file ko dekh liya ya download kar liya to aapko filemail ek notification bhej dega.
  3. Jab aap sare step pure kar lenge to usake baad fir se Send ke button par click kar dijiye. Ab aapki file successfully  transfer ho gayi hai.

Send large files free in hindi 2019

In sites ke alawa aap DropSend, Jumbomail jaisi sites ka bhi use kar sakte hai. Yah sites bhi online files transfer karne ke liye best file sharing sites me se ek hai.

To ye the kuch Best File sharing sites jinki madad se aap easily large files ko online send kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye how to send larges files online achi lagi hogi. Agar aapko is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment