Skip to content

elearninhindi

Menu
  • INTERNET
  • MAKE MONEY ONLINE
  • SOCIAL MEDIA
  • SEO
  • YOUTUBE
  • WORDPRESS
March 20, 2018

Wooplr Se Paise Kaise Kamaye – Open Online Store For Free

By elearninhindi MAKE MONEY ONLINE  5 Comments

Online paise kaise kamaye | Hello friends aaj hum is post me ek aise online business idea ke bare me janenge jisme zero investment kar hum online ghar baithe hi achi income kar sakte hai.

Jaisa ki dosto hum sabhi jante hai ki ajkal online shopping ka jamana hai or log ghar baithe hi apni jarurat ka sara saman online magwate hai, Aise me aap bhi apna khud ka online store open kar achi income kar sakte hai.

online paise kaise kamaye

Aaj mai aapko ek aesi website ke bare me bataunga jo free me aapko khud ka online store open karne ka mauka de rahi hai.

Agar aap bhi ghar baithe apna khud ka online store kholna chahte hai wo bhi free me or usse paise kamana chahte hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi, Is post me mai aapko ek aesi website ke bare me bataunga jis par aap free me apna online store oepn kar product ko sell kar paise kama sakte hai.

  • Facebook Se Paise Kaise Kamaye – Earn Money From Facebook
  • Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide In Hindi

Dosto ab aap soch rahe honge ki store kholne ke liye products buy karne honge,  registered karwana hoga, product ko customer tak pahuchana hoga etc. to dosto tension mat lijiye yaha mai aako jis website ke bare me bata raha hun wo website sab kuch khud karti hai, bas aapko apna store create kar products ko add kar online promote karna hota hai.

Is website ka name wooplr hai, Yah online paise kamane ke liye bahut hi badiya website hai.

Isme aapko koi product ko bahar se kharidane ki jarurat nahi hai jitne bhi product ko aap sell karna chahte hai wo sabhi products company degi or yaha tak ki aapke un product ko customer tak pahuchane ka kaam bhi company hi karegi bas aapko online store banana hai or products ko apne store me add karna hai uske baad aapko link milega or us link ko aap apne friend ke sath, facebook , twitter, whatsapp etc. me share kar dijiye uske bad koi bhi us link par click  kar product ko buy karega to aapko us product ke price ka kuch % commission milega.

Is website ki sabse achi bat yah hai ki, jaruri nahi ki log aapke link pe click kar saman buy kare tabhi hi aapko paise milenge agar log aapke link pe click kar product ko sirf dekhenge bhi to aapko earning hogi.

Or agar aapke paas computer ya laptop nahi hai to bhi aap ise apne phone se manage kar sakte hai, To chaliye ab sikhte hai ki wooplr se paise kaise kamaye or isme online store kaise open karte hai.

  • Internet Se Paise Kaise Kamaye Online Surveys Karke

Wooplr Se Paise Kaise Kamaye

Wooplr se earning hum 2 tariko se kar sakte ha

1. Views se : Jaise ki agar aapne kisi product ka link facebook, whatsapp, twitter, youtube channel etc. me share kiya uske baad agar us link par 100 log click kar us product ko dekhte hai to aapko Rs 10 milenge.

2. Commission se: Aapke share ki gayi link se agar koi products ko buy karta hai to aapko us product ke price ka commission milega. Commission start me aapko har product par 15% milega or jab aapki sell badegi to aapko 25% tak commission milega.

Wooplr Par Online Store Kaise Open Kare

Step 1: Sabse pahle aap wooplr ki website ko open kar lijiye wooplr.com

Step 2: Ab yaha par aapko ek  Open My Store ka option dikhega us par click kar apni details daal dijiye. Name, email id, password usake baad submit ke button par click kar dijiye. Aap yaha par apne facebook se bhi signup kar sakte hai.how to create wooplr accountStep 3: Ab ek new page open hoag yaha aap aapko aapke store ka name milega or aap chahe to ise yaha se change kar sakte hai, or sath hi yaha par aapko apna mobile number bhi dalna hai. Uske baad continue ke button par click kar dijiye. Ab aapka online store open ho chuka hai.wooplr par account kaise banayeYah website sign up hone ke sath aapko 50 Rs ka bonus deti hai.

Step 4: Ab yaha se upar right corner par 3 lines pe click kar edit store details par click kar apni profile pic or apni detail daal dijiye.

Ab itna karne ke baad next kaam hota hai apne store me product ko add karna.

Apne Store Par Products Ko Kiase Add Kare 

Step 5: Ab yaha add products ka option hai is par click kar dijiye.wooplr.com se paise kamayeStep 6: Ab ek new page open hoga yaha par aapko bahut sare  product dikh jayenge ab aap us product par click kar dijiye jise aap apane store me add karna chahte hai uske baad aapko add product ka option dikhega us par click kar aap us product ko apne store me add kar lijiyr or agar aapko yaha koi product nahi milta to aap upar search box me type kar us product ko store me add kar sakte hai.how to add product in wooplr storeIs tarah product ko apne store me add kar unhe apne friends ke sath facebook, twitter, whatsapp, blog etc. me share kar earning kar sakte hai.

Wooplr Se Earn Kiye Paise Ko Kaise Received Kare or Minimum Kitna Payout Le Sakte Hai?

Wooplr par aapko payment lene ke 2 option milte hai.

1. Bank account, 2. Paytm

Wooplr se aap direct apne bank account me apni earning ko magwa sakte hai or agar aap 18 year se kam hai or jinke paas PAN card nahi hai wo apne paiso ko paytm wallet me magwa sakte hai.

Is website se aap minimum Rs 100 ka payout le sakte hai, jab aapke wooplr account me Rs 100 ho jayenge to aap unhe apne bank account ya paytm wallet me magwa sakte hai.

Suggestion : Wooplr se jyada paisa kamane ke liye jaruri hai ki aapka store jyada logo tak pahuche jisse aapke product sell honge or aapki earning hogi. Jyada logo tak apne store ko pahuchane ke liye aap apne product ke link ko social site facebook page , facebook group, twitter, whatsapp, blog, youtube channel me share kar sakte hai. or agar aapke paas apna khud ka koi blog, website ya youtube channel  hai to waha par aap link share kar jyada earning kar sakt hai. 

Ummid karta hun ki aapko ye wooplr se paise kaise kamaye post achi lagi hogi or agar aapke man me is post se related koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai. 

  • Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kamane Ke Top 30 Best Tarike
  • Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye Puri Jankari Hindi Me

About Author

Nikhil

Our mission is to help you. Here You can learn Make Money Online, Computer, Internet, Android Mobile Tips and tricks, Latest Tech New etc. in Hindi. Keep Learning!

5 Comments
  1. sk bapon

    Online shoping

    April 12, 2018 Reply
  2. Vikas

    Thanks you it’s great post

    April 27, 2018 Reply
    • elearninhindi

      Thank you vikas

      April 27, 2018 Reply
  3. narendra kumar

    thanku but jo earning hogi uska pata kese chalega sir

    May 26, 2018 Reply
    • elearninhindi

      Jaise hi aap wooplr me login karenge to uper top me aapko Earnings ka option dikhega us par click kar aap apni earning ko dekh sakte hai.

      May 26, 2018 Reply

Add a Comment

Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Subscribe Our Site

Follow Us

Recent Posts

  • Happy Diwali Wishes In Hindi 2022 – Diwali Wishes Images, Messages
  • Dussehra Wishes In Hindi 2022 | Happy Dussehra Images, Messages
  • SEO Friendly Article Kaise Likhe – 7 Best Tips
  • 3 Best Web Hosting For WordPress In Hindi
  • कोरोना वायरस क्या है? इसके क्या लक्षण है? और इससे कैसे बचें?
Elearn In Hindi – Easy Way To Learn Copyright 2023
DMCA.com Protection Status About Contact Privacy Policy Disclaimer Back to Top ↑