Web Hosting Kya Hai | Hosting Kaise Aur Kaha Se Kharide Full Guide
Hello Friends…. Aaj hum is post me Web hosting kya hai, Hosting kaise aur kaha se kharide ke bare me step by step janenge.
Dosto agar aap Hosting kya hai, Hosting ki jarurat kyu padti hai, Hosting ko kaha se karide, Hosting kaise kharide in sabhi ke bare me janna chahte hai to aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko puri details ke sath step by step bataunga.
- SEO Kya Hai or SEO Kyu Karte Hai – Simple Explanation of SEO
- On Page SEO Kya Hai | On Page SEO Kaise Kare Puri Jankari 2018
Web Hosting Kya Hai? What is Web Hosting
Kisi bhi Website, Blog ko internet par rakhne ke liye ek space lena padhta hai ise hi hum web hosting kahte hai.
Hosting ek pen drive ki tarh hoti hai jis prakar hum apne pen drive me jaruri files, photos, videos rakhte hai thik usi prakar hosting me hum apni website blog ka sara data jaise ki Files, Pages, Photos, Videos, Audio etc. rakhte hai.
Ese or ache se samjhne ke liye ek example dekhte hai : Jis prakar humhe rahne ke liye ghar ki jarurat hoti hai thik usi prakar humare website blog ke data ko store karne ke liye hosting ki jarurat padti hai ise hi hum web hosting kahte hai, Jaha par hum apne website blog ke jitney bhi photos, file, post etc. ko 24*7 active rakhte hai jisse ki agar koi aapke website blog ko search karega to hamesha hi active dikhe.
Web Hosting Kitne Types Ke Hote Hai
Web hosting 3 tarh ke hote hai jaise ki Share hosting, Virtual private hosting (VPN) hosting, Dedicated hosting.
1. Share Hosting : Jaise ki name se hi pata chal rha hai hosting ko share karna, Isame ek server par kai sari website chalti hai. Is tarh ki hosting bahut sasti milti hai. Agar aap new website blog banane ki soch rahe ho to aapke liye ye hosting best hai.
Example : Ek room hai jisme kai sare friends mil kar rahte hai or us room ka rent sab friends share karte hai thik usi prakar share hosting kaam karta hai.
2. Virtual Private Hosting (VPH) : Yah ek private server hota hai jo kisi or ke sath share nahi ki jati. Yah hosting share hosting se costly hoti hai.
Example : Jab aap kisi hotel me jate hai or waha room lete hai to us room ki sabhi chijo par aapka hak rahta hai or aapko us room ko kisi ke sath share karna nahi padta thik usi prakar VPH me bhi aapko hosting share karne ki jarurat nahi hoti hai pura aapka control rahta hai.
3. Dedicated web hosting : Yah hosting kewal ek hi website blog ke liye hota hai isame ek hi website ke file, photo ko store kiya jata hai, Is hosting par pura aapka hi control hota hai or yah kaphi costly bhi hoti hai, Is tarh ke hosting ko wohi log lete hai jinke koi badi website ho jisme bahut jyada traffic ata hai. Is hosting ke aap malik ho sab kuchh aapka hai aap jo chahe wo kar sakte hai.
Hosting Kaha Se Kharide
Waise to internet par web hosting provide karne wali companies hai jaha se aap hosting ko kharid sakte hai, But bahut kam esi companies hai jo humhe achi service deti hai, Jaise ki Hostgator, Godaddy, Bluehost, ye sabhi companies 24*7 active rahti hai or support karti hai.
Dosto agar aap kisi new website blog ke liye hosting le rahe hai to mere experience ke hisab se hostgator ki hosting best hai. Yah bahut hi badhiya web hosting company hai yah 24*7 active rahta hai.
Yaha mai aapko hostgator se hosting kaise kharide ke bare me bataunga or baki sab website se bhi hosting kharidana lagbhag same hota hai.
Hostgator Se Hosting Kaise Kharide
Hostgator se hosting kharidna bahut hi asan hai.
Step 1: Sabse pahle aap hostgator.in ki website ko open kar lijiye, Usake baad niche Get Started ke button par click kar dijiye.
Step 2 : Ab yaha par server location me india ko select karna hai usake baad niche aapko 4 plan dekhne ko milenge apko jo achha lege use select kar lijiye or Buy Now ke button par click kar lijiye. Agar aap new blog create kar rahe hai to aap BABY plan ko select kare yah best hai.
Step 3 : Jaise hi aap buy now par click karenge to aapke samne ek pop up open hoga jisame aapse bola jayega ki aapke paas domain hai ya nahi agar hai to yaha yes pe click kar us domain ko daal dijiye. Usake baad in 3 option ko untick kar dijiye inki jarurat nahi hai fir continue ke button par click kar dijiye.
Or agar aapke paas domain nahi hai to aap yaha no pe click kar domain ko buy kar sakte hai ya fir kisi or site jaise ki godaddy, Bigrock jaisi website se domain ko buy kar sakte hai.
Step 4: Ab ek new page open hoga jaha par aapko apne hosting ka plan select karna hai aap kitne samay ke liye hosting lena chahte hai 1,3,6 mahine ya 1,2,3,5 saal ka apne hisab se select kar lijie. Usake baad continue ke button par click kar dijiye. Mai aapko suggest karunga ki aap start me 1,3 month ka hi hosting le.
Step 5 : Jaise hi aap continue ke button par click karte hai to aapko log in karne ko bola ja raha hai, Agar aapka account hostgator par nahi hai to yaha create an account par click kar new account bana lijiye.
To chaliye hum yaha ek new account bana lete hai
Account banana ke liye sabse pahle yaha crate an account par click kar dijiye usake baad ek page open hoga jaha par aapko apni kchh details dalni hai jaise ki –
- Yaha par aap apana full name likhiye.
- Apana address type kare.
- Country or state ko select kar lijiye
- Ab apne city pr postal code ko daal dijiye.
- Yaha par apna mobile number daal dijiye.
- Ise aap khali chod dijiye (GST ID Only applies to businesses based.)
Ab Yaha User Information me apna 1.email address, 2.Password or 3.Conform Password dal dijiye password ko strong rakhiye. Usake baad intki terms and policy ko ache se padh kar is par tick kar Create an account ke button par click kar dijiye.
Step 6 : Ab aapko payment karni hai, aap jis bhi method se payment karna chahte hai use select kar lijiye usake baad niche I agree ke option me tick kar pay now ke button par click kar dijiye.
Step 7 : Ab aapne jis bhi method ko select kiya hai usaki details jaise ki Card number, Expiry date etc. daal dijiye.
Usake baad pura process hone par aapko hostgator hosting ki tarf se ek email ayega jisame bola jayega ki aapne hosting successfully kharid li hai.
Ummid karta hun ki aapko ye Web Hosting Kya Hai | Hosting Kaise Aur Kaha Se Kharide post achhi lagi hogi or aapke man me is post se relative koi doubt ho to aap niche comment me puchh sakte hai.
- Top 3 Best Apps To Earn Money Online in Hindi
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye Top 30 Best Tarike
Helpfully article
Thank you bro i need this article thanks again.