Graphic Designer Kaise Bane – How To Become a Graphic Designer

How to become a graphic designer | Hello friends aj hum is post me Graphic designer kaise bane ke bare me janenge. Graphic designing kya hai? Graphic designing kaha se sikhe? Graphic designer banne me kitna samay lagata hai? Agar aap ye sab janna chahte hai to aap is post lo last tak padhe is post me aapko puri jankari mil jayegi.

Graphic designer kaise bane

Aj ke online internet ki dunia me print media publication me tezi se badhotri ho rahi hai, aese me online media ya company branding me sabse jaruri hai virtual presentation or creativity ka or yah kaam ek acha graphic designer hi kar sakta hai.

Agar aap creative hai, aapko creativity achi lagti hai or aapko computer me kaam karna acha lagta hai to Graphic designing ka career aapke liye best hai. Ek safal Graphic designer wahi hota hai jiske paas creativity hoti hai.

Aj ke samay me ek graphic designer ki kaphi demand hai. ek safal graphic designer banne ke baad aap job, freelancing or khud ka business kar achi income kar sakte hai.

Graphic Designing Kya Hai? What Is Graphic Designing

Graphic designing ek art hai. Graphic designing Texts, Images, Colors etc ko use karke apni baat ya message ko ek design ke rup me vyaka karne ka ek tarika hai. Graphic designing ka matlb kisi matter ko visual impact dena hai jisse ki wah dekhne me attractive lage. Jaise ki aap koi product use karte hai to usme jo packaging me design bani hoti hai wo ek graphic designing ka part hota hai, Hum jo newspaper badhte hai wo bhi ek graphic designing ka part hota hai, Visiting cards, Magazine etc. ye sabhi ek graphic designing ke hi parts hai.  

Graphic designing me expert banne ke liye sabse important aapki creativity hoti hai, Aap kis tarh ke ideas par kaam karte hai.

Bahut se logo ka kahna hai ki agar aap graphic designing software ke sabhi tools ko ache se sikh lete hai to aap ek ache graphic designer ban gaye hai, but yah bat puri tarh se sach nahi hai ek ache graphic designer ko graphic designing software tolls ke alawa creative hona chahiye.

Bahut sare tools sikhna aapko ek acha graphic designer nahi banata balki aapki creativity hi aapko ek acha graphic designer banata hai. Basic chije jo ek Graphic designer me honi chahiye design ki knowledge, creative thinker, basic typography ka knowledge, Color /space ka knowledge etc.

Graphic Designer Kaise Bane? How To Become a Graphic Designer

Graphic designer banne ke liye kai tarah ke courses available hai –

  1. Certificate course Is tarh ke course ko karne ke liye 3-9 month lagte hai.
  2. Diploma course Is tarh ke course ko kanme 1-2 saal lagte hai.
  3. Degree course Is tarh ke course ko complete karne me 2-3 tak lagte hai.

Graphic designer course karne ke qualification ke taur par aapko 12th paas hona jaruri hai.

Iske alawa agar aapke paas designing karne ki koi aesi skills hai jo ki aapke siwa or koi nahi kar sakta to aap graphic designing ke kuch software jaise ki Photoshop, Colerdraw, Illustration etc sikh kar ke bhi ek acha designer ban sakte hai.

Kya Bina Kisi Institute/Collage Join Kiye Graphic Designer Ban Sakte Hai?

Agar aapke man me bhi yah question hai ki kya hum bina koi Institute/College join kiye graphic designer ban sakte hai to iska answer hai YES ban sakte hai.

Agar aap kisi karan graphic designing ka course kisi bade institute collage se nahi kar sakte hai, But aap creative hai or aapme graphic designer banne ki icha hai to aap graphic designing ka course online internet ki madad se bhi kar sakte hai. Agar aapke paas computer or internet hai to aap graphic designing online internet ki madad se easily sikh sakte hai. Aj ke samay me internet par kai sari Websites, Videos hai jaha se aap graphic designing sikh sakte hai.

Agar aap Youtube par search karenge to aapko kai sari Hindi & English dono language me videos mil jayegi jo ki ek ache or experience graphic designer dwara banaye gayi hoti hai jinhe dekhkar aap easily sikh sakte hai.

Graphic Designer Banne Ke Baad Kaam Kaha Milega, Income Kaise Hogi?

Graphic designer banne ke baad aap kai tariko se income kar sakte hai, Yaha mai aapko kuch best tariko ke bare me bata raha hun jinki madad se aap achi income kar sakte hai.

1. Job Karke Kare Income : Graphic designer banne ke baad aap kisi graphic designing wali company me job kar achi income kar sakte hai. Aj ke samay me lagbhag sabhi company me graphic designer ki jarurat padti hai, kuch aesi companies hoti hai jinke paas graphic designing ka kaam regular na hokar weakly kaam rahta hai, or kuch aesi companies hoti hai jinko regular graphic designer ki jarurat hoti hai.

Job ke liye aap graphic designing ke studios me kaam kar sakte hai, Web designing company me kaam kar sakte hai, Production houses etc jagah par aap job ke liye apply kar sakte hai.

2. Freelancing Karke Kare Income : Jaise ki mene upar bataya tha ki kuch companies aesi hoti hai jinke paas graphic designing ka kaam regular na hokar kabhi kabhi kaam rahta hai to aesi companies apne graphic designing ka kaam kisi freelancing ya marketing company se karwati hai. So aap is tarh ki companies ke liye freelancing kaam kar income kar sakte hai.

Aj ke samay me internet mai kai sari aisi freelancing websites hai jaha aap as a graphic designer kaam kar sakte hai. Freelancing ke liye aap Upwork, Fiver, Freelancers jaisi website ki madad le sakte hai.

3. Khud Ka Business Karke Kare Income : Aap apne area me apna chota mota business start kar sakte hai jisme aap Logo Design, Brochure, Pamphlet, Photo Editing jaise kaam kar ache paise kama sakte hai. Iske alawa aap apna khud ka printing business start kar ke bhi ache paise kama sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye Graphic Designer kaise bane post achi lagi hogi, Agar aapko is post How to become a Graphic Designer se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment