Hello friends aaj mai is post me Domain name kya hai, Domain name ko kaise or kaha se kharide iske bare me puri jankari dunga.
Domain Name Kya Hai (What is Domain Name in Hindi)
Jitni bhi websites hoti hai wo sabhi server par store hoti hai, or server IP address par kaam karta hai, IP address numbers me hota hai jise yaad rakhna bahut kathin hota hai, Aise me ise aasani se yaad rakhne ke liye number ki jagah jane pahchane name diye jate hai, jise domain name kahate hai.
Example: Google.com ek domain name hai jo ki uske IP address ko yaad rakhne ke liye diya gya hai.
Simple sabdo me kahu to Domain name kisi bhi Website, Blog ka address hota hai jisaki madad se aap us website, blog tak pahuch sakte hai, Jaise ki elearninhindi.com meri site ka domain hai isaki madad se aap humari site tak pahuch sakte hai.
Type of Domain Name
Waise to bahut sare domain name available hai, lekin mai yaha aapko kuch hi important domain ke bare me bataunga, jo jyada use kiye jate hai.
- .com (commercial)
- .gov (government)
- .org (organized)
- .edu (educational)
- .in (india)
- .us (united state)
- .co.in (company in india)
- .net (network)
- .info (information)
- .mil (military)
Domain Name Kaha Se or Kaise Registered Kare
Waise to internet par bahut aisi websites hai jaha se aap domain name registered kar sakte hai, But yaha mai aapko unhi top website ke bare me bataunga jo 100% trusted hai.
Popular Domain Name Registered Website :
- Godaddy.com
- Hostgator.in
- Bigrock.in
- Namecheap.com
- 1and1.com
Yaha mai is post me apko godaddy.com se domain name kaise registered karte hai is bare me bataunga, aur agar aap kisi or website se domain name registered karte hai to bhi lagbhag sabhi website ka process same hota hai.
- SEO Kya Hai or SEO Kyu Karte Hai – Simple Explanation of SEO
- On Page SEO Kya Hai | On Page SEO Kaise Kare Puri Jankari 2018
Godaddy.com Se Domain Name Kaise Registered kare
Godaddy se domain registered karna bahut hi aasan hai, Aap niche diye step ko follow kar ke badhi hi aasani se apna domain registered kar sakte hai.
Step 1: Sabse pahle aap godaddy.com ki website ko open kar lijiye.
Step 2: Ab godaddy ka homepage open ho jayega yaha par aapko ek search box milega, Yaha par aap jis name se domain registered karna chahte hai wo name type kare fir Search Domain ke button par click lar lijiye.
Step 3: Ab agar aapne jo name search kiya hai wo name kisi or ne aapse pahle registered nahi kiya hoga to ye aapko bata dega ki Yes! Your domain name is available or is domain ka price ye hai.
But agar aapne jo domain name search kiya tha wo domain name pahle se kisi ne registered kar rakha hai to ye bata dega ki Sorry,this domain is taken or us domain se related name niche suggest karega ki ye domain available hai aap chahe to in me se koi domain kharid sakte hai.
Example : Agar aap xyz.com domain lena chahte hai lekin xyz.com domain aap se pahle hi kisi ne registered kar rakha hai to aapko niche is domain se related kuch or domain suggest kar dega ki aap xyz.com ki jagah xyz.in , xyz.co.in etc. registered kar sakte hai.
Step 4: Ab jab aap apni pasand ka domain search kar lenge to us domain ko Add to cart kar Continue to Cart ke button par click kar dijiye.
Step 5: Ab next page me aapse Privacy, Hosting, Email, etc. buy karne ko bolega aap inhe buy karna chahe to inhe select kar lijiye ye optional hai agar aapko in sab ki jarurat hai to aap inhe le nahi to No Thank hi rahne de, Fir last me Continue with these options ke button par click kar dijiye.
Step 6: Ab next page me akar sabse pahle aapko sign in karna hai, Agar aapke paas pahle se godaddy ka account hai to aap yaha sign in ke button par click kar sign in kar sakte hai, or agar pass godaddy ka account nahi hai to niche bataye steps ko dekhkar apna account create kar lijiye.
Godaddy Par Account Kaise Banaye
Godaddy par account banana bahut hi asan hai.
- Sabse pahle yaha par aap apna Email address dal dijiye.
- Username me aapka email id automatically hi a jata hai, lekin agar aap koi dusra username dalna chahte hai to aap use daal sakte hai.
- Ab yaha par ek strong password daal lijiye. Example – ABCxyz@#123
- Ab yaha par aapko koi bhi 4 digit ka pin dalna hai, Jise aap asani se yaad rakh sake is pin ki jarurat aapko tab padhti hai jab aap godaddy ke customer care me baat karenge to wo aapke account ke verification ke liye ye 4 digit ka pin mang sakte hai.
- Upper mangi sabhi details dalne ke baad Create Account ke button par click kar dijiye, Jaise hi aap create account par click karenge to aapka godaddy par account ban jayega.
Step 7: Ab next page me aapko billing information fill karni hai.
- Sabse pahle Country select kar lijiye.
- Yaha par apna First Name or Last Name dal dijiye.
- Yaha par apna Phone Number dal dijiye.
- Ab yaha par aapna Address daal dijiye.
- Yaha par Postal code or State daal dijiye.
- Yaha par City dal dijiye.
- Sabhi detail dalne ke baad Save ke button par click kar dijiye.
Step 8: Ab ek or new page open hoga yaha par aapko payment ki detail dalni hai, Jaise ki aap kis se payment karna chahte hai Net banking, Debit card, Wallet etc. Usake baad uska Card Number, Expiry date, Security code(cvv) number dalkar Save ke button par click kar dijiye.
Step 9: Ab final me aapko apne domain ka time select karna hai aap kitne samay ke liye domain registered karna chhate hai, 1 year, 2 years, 3 years, 5 years ya 10 years use select kar lijiye. Year ke hisab se paise bhi honge, Usake baad Complete Purchase ke button par click kar dijiye.
Step 10 : Ab aapke registered mobile number me ek OTP ayega us OTP ko daal kar submit kar dijiye.
Payment hote hi, Aapko payment success ka message show hoga, Ab aapka domain successfully registered ho gaya hai.
To dosto ab aap jan gaye hai ki Domain name kya hai, Domain name ko kaise registered kare. Agar aapko ye post achi lagi ho to aap ise social site me apne friends ke sath share jarur kare.