Aadhaar virtual id | Hello friends aaj hum is post me aadhaar virtual id kya hai or virtual id kaise generate kare ke bare me sikhenge.
Kya aap bhi apne aadhaar card number ko share nahi karna chahte hai? Kya aapko bhi dar hai ki kahi aapke aadhaar card ka galat use to nahi kiya ja raha hai, To aap is post ko last tak padhe is post me mai aapko bataunga ki kaise hum apne original aadhaar card ko share kiye bina wo sare kaam kar sakte hai jiske liye aapko aadhaar card ki jarurt padti hai.
Hume se bahut se log apne aadhaar card ki details ko sari jagah par share karna safely nahi mante hai, So isi pareshani se niptne or aadhaar card ko or surkshit banane ke liye UIDAI ne ek temporary aadhaar number ko launch kiya hai jiska naam virtual id hai.
Is virtual id ko aap aadhaar card ki jagah use kar payege matalb ki ab har jagah aapko apane aadhaar card ko dene ki jarurat nahi hai, ab aadhaar card se hone wale sare kaam aap is virtual id ki madad se kar sakte hai.
Is aadhaar virtual id ko hum aadhaar card number ki jagah use kar sabhi sewayo ka labh udha sakte hai. jaise ki agar aap koi naya bank account khulwate ho ya new sim card lete ho to aapse aapka aadhaar card number manga jata hai to eise me bahut se log apna aadhaar card number share karna safe nahi samjhte ya dar rahta hai ki kahi unke aadhaar card ka galat use to nahi kiya jayega to eise me aap apne aadhaar card ki jagah is virtual id ko dekhar aap sabhi sewayo ka labh udha sakte hai.
Aadhaar Virtual Id Kya hai
Virtual id 16 digit ka ek temporary number hai, jisme bas aapki jarurat ki details hoti hai. Virtual id ka fayda yah hai ki ab aapko kahi bhi apna aadhaar card dena nahi padhega jo kaam aap apne aadhaar card se kar sakte the ab wo sabhi kaam aap is virtual id ki madad se kar sakenge.
Virtual id ko aap uidai ki website se generate kar aadhaar card ki jagah use kar sakte hai.
Is virtual id ko koi dusra generate nahi kar sakta hai ise card holder hi uidai ki website se khud se generate kar sakega or aap ise kitni hi bar generate kar sakte hai. Ek bar generate id kuch samay ke liye valid hota hai new id generate karne par old wali apne aap unvalid ho jayegi or new wala valid hoga.
Virtual Id Ko Hum Kin Kin Sewayo or Kaha Kaha Use Kar Sakte Hai
Virtual id se hum un sabhi sewayo ka labh udha sakte hai jinke liye hume aadhaar card number dene ki jarurat hoti thi jaise ki bank account khulwana ho, ya nayi sim card lena ho, ya pan card banana ho etc. me hum virtual id ka use kar sabhi sewayo ka labh udha sakte hai.
Virtual Id Kaise Generate Kare? How to Generate Virtual Id
Virtual id ko generate karna bahut hi aasan hai, Ise aap uidai ki website se badi hi asani se generate kar sakte hai, Virtual id ko aap kitni hi bar generate kar sakte hai.
Virtual id ko generate karne ke liye jaruri hai ki aapka mobile number aadhaar card se link hua hona chahiye kyunki aapke registered mobile number par virtual id generate karne ke samay ek OTP bheja jata hai.
Step1: sabse pahle aap UIDAI ki website ko open kar lijiye.
Step2: Ab is site me ane ke baad My aadhaar wale tab me jake Virtual ID(VID) Generator ke option par click kar dijiye.
Step3: Ab ek new page open hoga yaha par aapako apna 12 digit ka aadhaar card number or security code(samne diya hoga) ko daal kar send otp ke button par click kar dijiye.
Step4: Ab aapke register mobile number (jo number aadhaar card se link hai) par ek otp ayega us otp ko yaha right side enter otp me daal kar Generate VID par tick kar dijiye jaise hi aap generate vid pe tick karene to aapko niche ek submit ka button show hoga us par click kar dijiye.
Jaise hi aap submit button par click karenge to aapke register mobile number par 16 digit ka virtual id a jayega jise aap aadhaar card ki jagah use kar sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye aadhaar virtual id kya hai? Virtual id ko kaise generate kare post achi lagi hogi. Agar aapke man me aadhaar virtual id se related koi bhi question ho to aap niche comment me puchh sakte hai.